Followers

Total Pageviews

Thursday, February 25, 2010

apni neendon ko mujh par wara karta hai..

har pal har gazal main wo baat karta hai meri,
har gazal ko wo mere liye geet ki tarah rakhta hai,

wo masoom to nahi hai kisi bhi taraha,
magar har baat se bekhabar khud ko rakhta hai,

puchta hai wo baat mere dil ki aksar mujhse,
apne dil ki baat wo aksar apne dil hi main rakhta hai,

shaam dhale ya subah jaage ,
main soyi rahti hoon uski hi baahon mai,

wo jaag jaag kar meri zulfon ko sawara karta hai,

wo khud bhi doob jata hai bahut,
aur mujhko bhi gahre main utara karta hai,

main rang gayi hoon uske hi rang mai iss kadar,
jaise rang raje purane duppate ko nikhara karta hai,

chaand taare bhale na laa saka wo mere liye,
wo khud ko jala meri raahon main ujala karta hai,

wo pal pal mere liye sanwara karta hai,
apni neendon ko mujh par wara karta hai

No comments:

Post a Comment