Followers

Total Pageviews

Wednesday, March 3, 2010

tu yahin tha ab kahin nahi hai..

Tu raha hai paas sada hi ,
dur jab se gaya hai,

ik saya apna mere sath chor gaya hai,

main sagar ki uthati girti lahron main, tujhe dhundhati hoon,
tu chain ki neend kisi aur kinaare soya hai,

abhi tak to tha sath hamare ,
fir ab itna dur kyun ho gaya hai.

tu phulon main hai, kaliyon main hai,
tu baag aur chaman ki galiyon main hai,

teri khushboo se mann mera, meri akhiyon ko bhigota hai,

kabhi dikhta hai , kabhi fir chip jata hai,
abhi mila tha tu mujhse ,abhi gum ho jata hai.

hawa kuch yun chukar gayi hai mujhko,
jaise sparsh ho tera wahi apna saa.

ab aandhi ki tarah tu aankhon se ojhal ho gaya hai,

wo ghar tera hai wo basti bhi teri hai,
tu nahi hai yahan fir bhi chal rahi grahasthi teri hai,

har aahat pe laga k tu yahin hai yahin kahin hai,
doud k chaha pakdna ,lekin..

tu yahin tha ab kahin nahi hai,

kahin nahi hai.

2 comments:

  1. tu har jagah hai, tu mere me aur main tere me hoon..........fir ye virah vedna kyon.....:)

    ReplyDelete
  2. Mukesh jee ye maine apne bhai ko kho dene ke baad likhi thi..:(
    ye virah vedna usi ke prati hai.aur rahegi.

    ReplyDelete